"Phir mujhe aatish-e-jaan soz se guzar jane de... Phir mujhe chashme bimaar mein apni utar jane de... Mujh pe ab shaaq hai mera har haine hayaat... Phir mujhe shoaq se tu bay moat mar jane de..." az ~ urøøj ishfaq ~
"Phir se teri zaanu pay sone ko kare dil... phir se teri lori me khone ko kare dil... Ye gardish-e-doraan mujhe jeene nahi deti... Aay maa teri aagosh me roney ko kare dil..." az urøøj ishfaq
"Ye ranj-o-gam nahin ye zakhm-e- jigar nahin.... Un kay karam ki mujh pe nishani aur hai," "Aysa nahi ki shaaq hai teri berukhi sanam... Maathe pe is shikan ki kahani aur hai." "Na ye tishnagi-e-wasl hai na ye iztirab-e-ishq... Mojun ki dil-e-bahar me rawani aur hai." az urøøj ishfaq
'Kya huva subhu mudat se hamari na huvi.. shaam gam leke to hamare liye aajati hai' 'apni kismat pe bhala naaz hame kayse na ho.. Jab b uthti hai ghata ham he pay baras jati hai.' 'Dil ko afsurda chashm tar pata hu me.. tere dedar ko jab b ye deed taras jati hai.' ~az urooj ishfaq~
'Manzil ka shoaq hai na koyi shoaq-e-anjuman... kaantu bhari hai koyi rehguzar mere aage.' 'Har pal hai shabistaan har lamha kehkashaan... Darya hai din ya koyi samandar mere aage." az .~urøøj~ ishfaq
'Dard ki shaakh se dil ko utara jaye... Aur kuch lamha bina gam k guzara jaye." 'Kahin mehsus na ho un ko mere aah-o-figãan... Yun tabassum ko rukhe bejaan pe utara jaye." az urøøj ishfaq
'Dard ki shaakh se dil ko utara jaye... Aur kuch lamha bina gam k guzara jaye." 'Kahin mehsus na ho un ko mere aah-o-figãan... Yun tabassum ko rukhe bejaan pe utara jaye." az urøøj ishfaq